Return To Message Board
Author Topic:   aapse mil kar
rehana soz posted 12/29/05 1:35 PM     Click here to send email to rehana soz  
qasim saheb..apka kalaam aapki haqeeqat pasand shaksiyet ka aaina hai.....aap ek baa kamaal funkaar hain..baqaul aapke dostoon ke aapko jo mila hai asmani tohfa hai......
sadiyon ke bojh dil ne sahe muskura ke jab
lamhon ki wardat per dil kyon udas hai
ye wahi dil jaane jo sadiyon ki pyas jhel kar ek boond shabnam ki aas per jiya ho...aur vo mil kar bhi na milne wale sifak lamhe ki aziyet koi us dil se pooche phir kyon na udas ho.....vo lamha aagahi ka ...vo lamha zindgi tha.....jo rooh may uter gaya ho.....jism o jaan ko mehka kar guzar gaya ho....us lamhe ki zarb kaaari ...phir dil kyon na udaas ho.....bahut khoob qasim......khuda kare aapka fun her dil may ghar kare.......
khuda hafeez
rehana
Munir Qasim posted 12/30/05 12:26 AM    
Rehana Sooz sahiba... I thank you for your words. Lagta hay aap ka sher o adab kay baaray kaafi gehra muta'lea hay. Aur mujhay yaqeen hay keh aap likhti bhi hoongi. Agr yeh such hay tu mayry yeh adna si web aap kay kalaam ko publish karnay kelay hazir hay. Aap chahain tu apni poetry "aapki shairy" section main publish karnay kayleay mujhay mail kar sakti hain...Keep visiting the web...take care
rehana soz posted 12/30/05 4:45 PM     Click here to send email to rehana soz  
ji qasim.insha allah..waise ab tak jo bhi likha hai bas yonhi sa hai.....khair aap dekh lijiye.....
mukhlis
rehana soz
Munir Qasim posted 1/1/06 3:17 PM    
salamz..aap kay kalaam ki maang barhti ja rahi hay.... kuch kejay...wating for your kalaam...
rehana soz posted 1/1/06 3:53 PM     Click here to send email to rehana soz  
ji qasim saheb......jald milega......
Return To Message Board

Back To My Home Page  | Post New Topic