|
Author
|
Topic: aap ki shairi
|
|
Farhan
|
posted 11/22/05 2:46 PM
Janab Muneer Saheb. aap ki shairi bahut hi mutaccir kun hai. aur aap ka andaaz-e-bayaan mukhtalif aur munfarid bhi. aap nay jis khoobsoorti say mazameen bandhay hain voh mujhay bahut pasand aayee.ummid aap ki shiri kay zaray aap ko jannay ka mouqa milta rahay ga. jazakallah. Farhan
|
|
Munir Qasim
|
posted 11/22/05 3:00 PM
Thanks a lot Farhaan sahib. Aap ko forum miN khush aamdeed kehta hooN. Puranay readers to shaid nai manzalooN ki taraf gaamzan hain. Aik arsa kay baad aap ka message bahaar ban kar iss gulshan main aaya hay.... Aap aatay reheay aur main likhta rahooN ga...Insha Allah
|
|
farhan
|
posted 11/24/05 11:01 AM
Inshallah zaroor aap say fourm per mulaqaat hoti rahay gi.ummid karta hoon ki aap ki taza ba taza shairi paRnay ko milaygii. yaqeen janea k aap kay ashaar main, maiN nay inti gehrayee aur sanjeedgii payee ki ek ek shair paRnay kay baad soochna paRta hai .......... its wonder ful........ek aur raaz ki baat kay aap ki shairi paRh kar likhnay ki tehreek paida hoti hai.......... Jazakallah Farhan
|
|
Munir Qasim
|
posted 11/24/05 12:55 AM
Bahut shukria Farhan shaib.....aap zaroor likheay. Is web kay bunyaadi maqaasid maiN say aik yeh bhi hay keh nay likhnay walooN ko islah ki aur un kalaam publish karnay ki sahoolat di ja sakay. Kuch shura iss say istafada kar rahay hain. aap bhi shaamil ho jaain>>> Bismillah
|