|
|
|
|
| Author | Topic: Ahmed Hasan Mubarak Hoo |
| Munir Qasim |
posted 9/7/05 4:19 AM
Ahmed hasan ko dhairooN mubarakbaad keh unhooN nay Urdu point per honay walay mushaira main pehli position hasil ki hay. Choonkeh Ahmed hasan iss web kay poet hain lehaza tamaam members kayleay unki kamyaabi baes e sad-insibaat hay. Mayri koshish yahe hay keh shura ko doo dimensions main help out kia jaay....aik tu unki shairy main corrections aur rehnumaai day kar aur doosra un ka kalaam iss web kay tawassat say dunya kay aakhri koonay tah pahuncha kar...To yeh baat tay hay kay joo loog lagan say kaam kartay rahain gay aur iss web say juray rahaiN gay, insha Allah jald ya badair unko kamyaabi zaroor milay gi....Ahmed hasan aisay tamam shura aur shairaat kayleay aik misaal hay. Regards http://www.urdupoint.com/adab/muqabla/tarhi08-09/ Ahmed ki ghazal aur muqabla key results kayleay yahaan click karain |
| Rida_e_Noor |
posted 9/7/05 4:42 PM
Assalam o alaikum. bohat bohat mubarak ho Ahmad Hasan sahab ko....ghazal waqai inaam ki haqdaar hai.. Jazba-e-dil! le ja mujh ko mawra-e-auj-e-charkh Tair-e-takhaiyul mera mail-e-parwaz hai...!!! Dekhiye kesey nibhey mujh se merey mehboob ki mein sarapa ijz hon aur wo sarapa naz hai...!!! Is taghaful sey teray,bazi na lejaye udu Uth k ab bazm-e-jahan ka aur he andaz hai...!!! bohaaat khoob...!!!!!!!!!!!! keep it up..!!!! |
|
|