|
duffer(usman)
|
posted 9/3/05 3:57 AM
sallam,, mohtarma Rida sahiba ki nai kawish parhi,, hawa k taza jhonka hijar k rango main lipta hua,,nastaleeq zuban,, lekin dard ,, kasak,,bayqararian,,umeedain aur shaid pachtawa,, hijar k sub rang numaya hain is ghazal main,,kitnay khsuhnaseeb hotay hain wo jin ka koi intizar karta hai, wo ayub ho yousaf k intazar main ya koi aur ,,, un ka sarmaya he wo ummed aur aas hoti hai jo dil main bus jati hai,, mujhay ameer khusru ka aik doha yaad aa gia,, SONA LAWAN PI GAAAY ,, SUUNA KAR GAAY DAIS ,, SONA MILA NA PI MILAY,, ROYA HO GAAY KAIS" (shaid main mouzu se kuch hat gia hoon,, lekin mairy nazdeek kisi bhe shair ye shaira ki kamyabi ki daleel hai ye k us k kahay huay ko hum khud per guzri hui alamnakioo ka bayan samjahin,, ) khair,, Rida aap k pehla qit’a parha lekin aap ki is ghzal ne chonka dia hai, aisay achay achay shair aur gumnaam??? Lekin sud shukr k hum is site k zaria un k kalaam se faizyab ho rahay hain ,,aur sahib aaj kis ko maykhany janay ki talb jab may he aik ungli k ishary se gher aa jay ? mubarik mohtarma Rida ,, ab aur kab samnay aaain gi aap ki nagarshat? Ab hum aap ki shairi k hijr main mubtala ho chalay hain ,,acha yaad aaya,, ye jo aap ne pehaly sher main likha hai “ kitni haseen shaam….” Bhae himat hai aap ki,,, hijar main sham haseen lagi aap ko, kaheen aap khud he apnay sakhmo se khurand cheel kar to maza nahi letin???? Warna hijr main to sham azaab hoti hai ,, aur shaam,,haay shaam,, waaay shaaam,,, wo aa k pehlo main aisay baithy k sham rangeen ho gai hai,, zara zara see khili tabiat zara see ghamgen ho gai hai,,(( main phir out of control hota ja raha hoon yaha raha to pata nahi kia kia unglioon se slip hota rahay ga,, is liay ))ijazat dijiay,, ab intizar rahay ga,, aap ki shairi ka,, wasllam,, niaz mand,, duffer ( ye tabsara 11 agust dopehar 2 bajay likha tha,, lekin hay post honay se reh gia tha,, takheer k liay mazrat," wo jo qaraz rakhtay thay jaan per....." )
|
|
mi_tariq
|
posted 1/12/06 12:45 AM
AOA, Rida - I am not a poet but I do appreciate the way u write and understand poetry. Main kam kam parta hoon, time nehi milta, per apki shairee ko main ney ghour sey para, mashaullah bahut achi koshish hai apki, itni kam umeri main itney hakeekat pasandana shair, mashaullah its all God Gifted. so keep it up and dont be afraid of critics ok. Apki shairee main soz hai, wazan hai, hakeekat hai, aur jazbaat ki sehi akasi hai and in fact I am deeply impressed. U as a person is a wonderful person, aik sehi musalma, aur aik nafees insan hain, Allah apki kawashoon ko aur chand lagaiy, daraz e umer aur kamyabian naseeb farmaiy
|