|
|
|
|
| Author | Topic: Poetry Of Asif |
| Duffer |
posted 7/21/05 8:55 PM
Abba g ki umer shaid chand he saal thi jab wo bemar ho gaay,, sokhray ki beemari ho gai thi,, pakistan banane se kuch saal paishter ka zikar hai,,tab logo ne meri dadi marhooma ko kaha k gaaoon se 2 kous ki dori per aik darakhat hai,, us darakaht ki chaaon main ja kar nahao,,,,aur us ki barkat se tumhara beta theek ho jaay ga,,, us janati aurat ne jawab dia " is laa'al ki mout gawara hai lekin Khaliq ko chour kar Makhlooq ka sahara nahi loon gi. Allah hum sub ko us ko her lihaz se wahid aur yakta maan ne ki toufeeq de,, Ameen,, Asif ,, kia likhoon? umeed hai meri baat samjh gaay ho gay? Niaz mand,, duffer |
| Munir Qasim |
posted 7/22/05 10:30 AM
Duffer jee...Tanqeed kay ziman main aap nay jo nasr para likha hay, uss nay bahut hansaaya. Waisay kia aap nay direct tanqeed say tauba kar li hay....lolz |
| Munir Qasim |
posted 11/22/05 3:53 PM
Duffer Jee aap daikh saktay haiN keh asif ki poetry remove kar di gai hay..... laykin forum main aap ka "nasr-paara" mehfooz hay..... laykin aap kahaaN hain??? |
|
|